Sunday, 14 September 2014

Bhar Do Jholi Meri YA MUHAMMAD

Bhar Do Jholi Meri YA MUHAMMAD
Lautkar mai na jaaungi khaali

Tumhare aastane se zamaana kya nahi paata
Koi bhi dar se khaali mangne waala nahi jaata

Bhar do jholi meri SARKAR E MADINA
Bhar do jholi meri TAJDAR E MADINA

Tum zamaane ke mukhtaar ho YA NABI
Bekason ke madadgar ho YA NABI

Sab ki sunte ho apne ho ya gair ho
Tum ghareebon ke gham-khwaar ho NABI

Hum hai ranj-o-museebat ke maare hue
Saqt mushkil me hai gham se haare hue

YA NABI kuchh Khudaara hume bheek do
Dar pe aaye haI jholi pasaare hue


Hai mukhalif zamana kidhar jaye hum
Haalat-e-bekasi kisko dikhlaye hum

Hum tumhare bhikaari hai YA MUSTAFA
Kiske aage bhalaa haath phailaye hum

Kuchh nawaaso ka sadqa ataa ho
Dar pe aaya hu bankar sawaali

Haq se paayi wo shaan-e-kareemi
Marhaba dono aalam ke waali

Uski qismat ka chamka sitaara
Jis pe nazr-e-karam tum ne daali

Zindagi bakhsh ki bandagi ko
Aabroo deen-e-haq ki bachaali

Wo MUHAMMAD ka pyara nawaasa
Jisne sajde me gardan kataali

Jo ibn-e-murtaza ne kiya kaam khoob hai
Qurbaani-e-Hussain ka anjaam khoob hai

Qurban ho ke Fatema Zehra ke chain ne
Deen-e-Khuda ki shaan badhaayi Hussain ne

Bakhshi hai jisne mazhab-e-Islam ko hayaat
Jitni azeem hazrat-e-Shabbir ki hai zaat

Maidaan-e-Karbala mei shah-e-khush khisaal ne
Sajde me sar kataa ke MUHAMMAD ke laal ne

Hashr mein unko dekhenge jis dam
Ummati ye kahengey khushi se

Aa rahe hai wo dekho MUHAMMAD
Jinke kaandhe pe kambli hai kaali

Mehshar ke roz pesh-e-Khuda honge jis ghadi
Hogi gunahgaaron me kis darjaa bekali

Aate hue NABI ko jo dekhenge ummati
Ek doosre se sab ye kahenge khushi khushi

Sar-e-mehshar gunahgaaron se purzish jis ghadi hogi
Yaqeenan har bashar ko apni bakhshish ki parhi hogi

Sabhi ko aas us din kambli waale se lagi hogi
Ke aise me MUHAMMAD ki sawaari aa rahi hogi

Pukaarega zamaana us ghadi dukh dard ke maaro
Na ghabraao gunahgaaron na ghabraao gunahgaaron

Aa rahey hai wo dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kambli hai kaali

Aashiq-e-mustafa ki azaan mein Allah Allah kitna asar thha
Sachaa ye waaqiya hai azaan-e-Bilaal ka

Ek din rasool-e-paak se logon ne yu kahaa
Ya MUSTAFA azaan ghalat dete hai Bilaal

Kahiye HUZOOR aapka is me hai kya khayaal
Farmaaya MUSTAFA ne ye sach hai to dekhiye

Waqt-e-sahar ki aaj azaan aur koi de
Hazrat Bilaal ne jo azaan-e-sahar na di

Kudrat Khuda ki dekho na mutlaq sahar hui
Aaye Nabi ke paas kuchh as’haab-e-baasabaa

Ki arz mustafa se aye Shah-e-ambiya
Hai kya sabab sahar na hui aaj Mustafa

Jibreel laaye aise me payghaam-e-Kibriya
Pehle to MUSTAFA ko adab se kiya salaam

Baad as salaam unko Khuda ka diya payaam
Yu Jibraeel ne kahaa khair ul anaam se

ALLAH ko hai pyar tumhaare ghulaam se
Farmaa raha hai aap se ye Rabb-e-Zuljalaal

Hogi na subha denge na jab tak azaan Bilaal
Aashiq-e-mustafa ki azaan mein ALLAH ALLAH kitna asar thha

Arsh waale bhi sunte the jisko
Kya azaan thi azaan-e-bilaali

Kaash purnam se aaye NABI me
Jeete ji ho bulaawa kisi din

Haal-e-gham MUSTAFA ko sunaaoon
Thhaam kar unke rauze ki jaali

Bhar do jholi meri YA MUHAMMAD
Lautkar main na jaaungi khaali

No comments:

Post a Comment